All Poets Poetry

This blog billing conaints poetry of all poets

Breaking

Thursday, November 8, 2012

Surender Malik Gumnam

1.
Masti Bharii Nazar Ka


mastii bharii nazar kaa nashaa hai mujhe abhii
ye jaam duur rakh do pii lunga phir kabhii

Mastii: Intoxication, Lust
Nashaa: Addiction, Arrogance, Intoxication, Pride

dil ko jalaa ke bazm ko raushan na kiijiye
us mahjabin ko aane men kuchh der hai abhii

Bazm: Assembly, Gathering, Party
Jabiin: Brow, Forehead
Mah-jabiin: One with a face like the moon

ham ne to ashk pii ke guzaarii hai saarii umr
ham se Khafaa hai kis liye aakhir ye zindagii

Ashk: Tears
Khafaa: Angry, Annoyed, Concealment, Displeased, Secrecy

jaam-e-subuu ko duur hii rahane de saaqiiyaa
mujh ko utaaranaa hai kal kaa nashaa abhii

Subuu: Jar, Tumbler
Jaam-e-Subuu: wine cup and wine jug
Utaarnaa: Lessen, Take Down, Take Off, Unload
2.
Ye Kaisii Muhabbat Kahaan Ke Fasaane


ye kaisii muhabbat kahaan ke fasaane
ye piine pilaane ke sab hain bahaane

vo daaman ho un kaa ke sunsaan seharaa
bas ham ko to aakhir hain aansuu bahaane

ye kis ne mujhe mast nazaron se dekhaa
lage khud-ba-khud hii qadam ladakhadaane

chalo tum bhii ‘gumnaam’ ab maikade men
tumhen dafn karane hain kaii gam puraane
3.
Zindagi ek kiraye ka ghar hai


Zindagi ek kiraye ka ghar hai ek na ek din badalana padega
maut jab hum ko aavaz degi ghar se bahar nikalana padega

dher matti ka har aadmi hai bad marane ke hona yahi hai
ya zaminon mein turbat banenge ya chitaon pe jalana padega

raat ke bad hoga savera dekhana hai agar tum ko din sunehara
paon phoolon pe rakhane se pahale tum ko kanton pe chalana padega

aitabar un ke vadon ka mar kar warna ae dil mere zindagi bhar
tujh ko bhi mombatti ke tarah qatara qatara pighalana padega

ye javani hai pal bhar ka sapana dhund le koi mahbub apna
ye javani agar dhal gai to umr bhar hath malana padega
4.
Kanton kii chubhan pai phoolon ka maza bhi


Kanton kii chubhan pai phoolon ka maza bhi
dil dard ke mausam mein roya bhi hansa bhi

aane ka sabab yaad na jane ke khabar hai
wo dil mein raha aur use tod gaya bhi

har ek se manzil ka pata puch raha hai
gumrah mere sath hua rahnuma bhi

‘gumnam’ kabhi apanon se jo gham huye hasil
kuch yaad rahe un mein kuch bhool gaya bhi
5.
Nazar Se Nazar Ko Salaam


nazar se nazar ko salaam aa rahe hain
phir un kii taraf se payaam aa rahe hain

Payaam: Message

jo pardah-nashiin they bahut muddaton se
woh lamhe mujhe bazm-e-aam aa rahe hain

Pardah-nasheen: One who stays veiled
Muddat:  Length Of Time, Period Of Time
Lamhe: Minutes, Moments

sajaane ko ab mere khwaabon ki bastii
ye phoolon ke gajre tamaam aa rahe hain

Gajra: Wreath
Tamaam: All, Complete, End, Entire, Finish, Perfect, Total, Whole

zara toh karo sabr aye maikashon tum
tumharii hi jaanib ye jaam aa rahe hain

Sabr: Patience
Mai-kashon: Drinkers
Jaanib: Towards, In The Direction Of

kahan kho gaye aap ‘Gumnaam’ ho kar
tumhe dhoondhne subah-o-shaam aa rahe hain

No comments:

Post a Comment

Jaun Elia Poetry Urdu

Shaayad Mujhe Kisi Se Mohabbat Nahi Howi Laikin Yaqeen Sab Ko Dilaata Raha Hun Mein Ik Husn-e-Bemisaal Ki Tamseel Ke Lye Parchaayion Pe R...