All Poets Poetry

This blog billing conaints poetry of all poets

Breaking

Friday, November 9, 2012

Tabish Dehlvi

Tabish Dehlvi
 1911 - 2004
1.
Josh-e-junun ka ye aalam hai


Dhoom machayen, sabza rounden, phoolon ko pamal karen
Josh-e-junun ka ye aalam hai, ab kya apna haal karen

Jaan se badhkar dil hai pyara, dil se ziyada jaan aziz
Dard-e-mohabbat ka ik tohfa kis-kis ko irsaal karen

Rooh ki ik-ik chot ubharen dil ka ik-ik zakhm dikhayen
Hum se ho to numayan kya-kya apne khdd-o-khal karen

Karz bhalaa kya dega koi, bheekh bhi milni mushkil hai
Nadaron ki is basti mein kis se jake sawaal karen

Har ik dard ko apna janen har ik gham ko apnayeN
Khwah kisi ki daulat-e-gham ho dil ko malamal karen
2.
Beqaraarii Sii Beqaraarii Hai


beqaraarii sii beqaraarii hai
din bhii bhaarii hai raat bhaarii hai

zindagii kii bisaat par aksar
jiitii baazii bhii ham ne haarii hai

[bisaat=game-board]

toRo dil meraa shauq se toRo
chiiz merii nahiin tumhaarii hai

baar-e-hastii uthaa sakaa na koii
ye Gam-e-dil jahaan se bhaarii hai

[baar=weight]

aankh se chhup ke dil mein baithe ho
haaye kaisii ye pardaa-daarii hai
3.
Dost Kya Khoob Wafaon Ka Sila Dete Hain

Dost Kya Khoob Wafaon Ka Sila Dete Hain
Har Naye MoR Par Aik Zakham Naya Dete Hain

Tum Se To Khair GhaRi Bhar Ki Mulaqat Rahi
Log Sadiyon Ki Rafaqat Ko Bhula Dete Hain

Kese Mumkin Hai Kii Dua Bhi Na Ho Aur Dil Bhi Jaly
Chot PaRti Hai To Patthar Bhi Sada Dete Hain

Kon Hota Hai Museebat Mein Kisi Ka Aye Dost
Aag Lagti Hai To Patte Bhi Hawa Dete Hain

Jin Pe Hota Hai Bohat Dil Ko Bhroosa ‘Tabish’
Waqt Parne Pe Wohi Log Dagha Dete Hain

No comments:

Post a Comment

Jaun Elia Poetry Urdu

Shaayad Mujhe Kisi Se Mohabbat Nahi Howi Laikin Yaqeen Sab Ko Dilaata Raha Hun Mein Ik Husn-e-Bemisaal Ki Tamseel Ke Lye Parchaayion Pe R...