Aitbar Sajid
1.
1.
Phir Us Kay Jatay Hii
Phir Us Kay Jatay Hii Yeh Dil SunSaan hO Kar Reh Gya
Acha Bhala Ik Shehar Tha Veraan hO Kar Reh Gya
Har NaQsh Batal hO Gya Ab Kay Dyaar e Hijr Mein
Ik Zakhm gUzray WaQt Ki PehChan hO Kar Reh Gya
rUt Nay Meray CharOn Traf KheenChay Hisaar e Baam o Dar
Yeh Shehar Phir Meray Liye Zandaan hO Kar Reh Gya
kUch Din mUjhey Aawaz Dii lOgon Nay Us Kay Naam Say
Phir Shehar Bhar Mein wO Merii PehChaan hO Kar Reh Gya
Ik Khwaab hO Kar Reh Gaien gUlShan Say Apni NiSbatien
Dil Raiza Raiza KaanCh Ka gUl-Daan hO Kar Reh Gya
Har Sa'at e Aaraam e Dil Har Lamha TaSkeen e jAan
BiChaRay hOye Ik Shakhs Ka Paimaan hO Kar Reh Gya
Khwaahish tO Thii "Sajid" mUjhay TaS-heer e Mehar o Maah Kii
Lekin Fqat Main Saahib e Dewaan hO Kar Reh Gya
2.
Tum Ko To Maloom Hai Sab Kuchh
tUm Ko tO MalOom hAi Sab Kuch tUm tO Meray hUmSaaye hO
Bail tO Kab Kii SOokh Chukii Ab Kaliyaan dhOondnay Aaye hO
mOm Kay PutlOn Nay Ab Kay Yeh hUmSafrii Kii Shart Rakhii
dhOop Ka Sehra Bhi Kat Jaye Safar Bhi Saaye Saaye hO
Kis Ki Aamad gUlshan gUlshan KhUwbOo Ban Kay Phailii hAi
Aey PhOolo! tUm Tehnii Tehnii Kis Ka Sandaisa Laaye hO
Taro ! tUmhien tO Teh Karnii Thii Meray Saath mUsaafat e Gham
HijR Kii Pehlii Shab hAi Abhi Say dhUndlaaye dhUndlaaye hO
Har DhArkAn Mein tUmhien Utaara Har Sapney Mein tUmhien Pukara
SadiyOn Tak Chaha hAi tUm Ko Lekin Phir Bhi Paraaye hO
Main Nay PalkOn Say Chunay hAin Is DhARtii Kay Mah o NajOom
"Sajid" Meray Baaray Mein Ab jO Bhi Us Kii Raaye hO
3.
muhabbaten mery saath hon
Yehi aarzoo rahi umr bhar ke muhabbaten mery saath hon
kabhi aesa ishq nahin kiya ke nadaamten mery saath hon
koi aesa harf nahin likha ke ho sharm saar qalm mera
koi aesa jurm nahi kiya ke wazahten mery saathon
faqt aik shakhs ki aarzoo mein guzar rahi hai yeh zindagi
yeh talab nahin k tamaam sheher ki chahten mery saath hon
main kisi adalat-e-ishq main ae mery khuda rahoon surkhuroo
kaf-e-dast par mera dil rahy'meri tohmaten mery saath hon
mujh rasmi sa mel jol pasand hi nahin jan-e-man!
main yeh chahta hoon k jo tu mily meri wehshaten mery saath hon

No comments:
Post a Comment