All Poets Poetry

This blog billing conaints poetry of all poets

Breaking

Tuesday, November 20, 2012

Nazeer Baqri

Nazeer Baqri
1.
Yaad nahi kya kya dekha tha sare manzar bhool gaye

Yaad nahi kya kya dekha tha sare manzar bhool gaye
us ke galiyon se jab laute apna bhi ghar bhool gaye

khub gaye pardes ki apne divar-o-dar bhool gaye
shish-mahal ne aisa ghera matti ke ghar bhool gaye

tujh ko bhi jab apni qasamen apne wade yaad nahi
hum bhi apne khwab teri aankhon mein rakh kar bhool gaye

mujh ko jinhone qatl kiya hai koi unhen batalaye “nazeer”
meri lash ke pehlu mein wo apna khanjar bhool gaye
2.
Apni Aankhon Ki Samundar Mein Utar Jane De

apni aankhon ki samundar mein utar jane de
tera mujarim hun mujhe dub ki mar jane de

ae naye dost main samajhunga tujhe bhi apana
pahale mazi ka koi zakhm to bhar jane de

aag duniya ki lagai hui bhuj jayegi
koi aansu mere daman pe bikhar jane de

zakhm kitne teri chahat se mile hain mujhko
sochata hun ki kahun tujhase magar jane de

No comments:

Post a Comment

Jaun Elia Poetry Urdu

Shaayad Mujhe Kisi Se Mohabbat Nahi Howi Laikin Yaqeen Sab Ko Dilaata Raha Hun Mein Ik Husn-e-Bemisaal Ki Tamseel Ke Lye Parchaayion Pe R...