All Poets Poetry

This blog billing conaints poetry of all poets

Breaking

Saturday, November 17, 2012

Bashir Badra

Bashir Badra
1.
Gulon ki tarh ham ne zindagi ko 

Gulon ki tarh ham ne zindagi ko is qadar jaana
Kisi ki zulf mein ik raat sona aur bikhar jaana

Agar aise gaye to zindagi par harf aayega
Hawaon se Iipatna titliyon ko choom kar jaana

Dhunak key rakh diya tha baadion ko jin parindon ne
Unhen kisne sikhaaya apne saaye se bhi dar jaana

Kahaan tak ye diya beemar kamre ki fiza badle
Kabhi turn eik mutthi dhoop in taaqon mein bhar jaana

Isi mein aafiyat hai ghar mein apne chain se baithho
Kisi ki simt jaana ho to raste mein utar jaana
2.
Hamara dil savere ka sunahra jaam ho jaye

Hamara dil savere ka sunahra jaam ho jaye
Chiraghon ki tarah aankhen jalen jab shaam ho jaye

Kabhi to aasman se chand utre Jaam ho jaye
Tumhaare naam ki ek khubsoorat shaam ho jaye

Ajab halaat they yun dil ka sauda ho gaya akhir
Mohabbat ki haweli jis tarah neelam ho jaye

Samandar key safar mein is tarah awaz de hamko
Hawayen tez hon aur kashtiyon mein shaam ho jaye

Mujhe maloom hai uska thikana phir kahan hoga
Parinda aasman chhune meinjab nakaam ho jaye

Ujale apni yaadon ke hamare saath rahne do
Na jane kis gali mein zindgi ki shaam ho jaye
3.
Uski aankhon sa uske gesu sa

Uski aankhon sa uske gesu sa
Mera sara kalam khusboo sa

Meri palkon pe jhilmilata hai
Raat bhar eik nam jugnu sa

Kitni muddat key baad tujh se mile
Muskurata hai pyar ansoo sa

Aaj waada kisi ka toot gaya
Reshmi titliyon key.. bazu sa

Roz tanhaiyon mein ik chehra
Tolta hai mujhe tarazo sa
4.
Kahaan asuon ki ye soghaat hogi

Kahaan asuon ki ye soghaat hogi
Naye log honge nayi baat hogi

Main har haal mein muskurata rahunga
Tumhari mohabbat agar saath hogi

Chiraghon ko aankhon mein mahfooz rakhna
Badi door tak raat hi raat hogi

Pareshan ho turn bhi, pareshan hun mein bhi
Chalo maikade mein wahin baat hogi

Chiraghon ki 10 se sitaron ki zo tak
Tumhen main milunga jahan raat hogi

Jahan wadi yon mein naye phool aaye
Hamaari tumhaari mulaqaat hogi

Sadaaon ko alfaaz milne na paye
Na baadal ghirenge na barsaat hogi

Musafir hein ham bhi musafir ho turn bhi
Kisi mod par phir mulaqaat hogi
 5.
Hansi masoom si bachchon ki

Hansi masoom si bachchon ki copy mein ibarat si
Hiran ki peet par baithi parinde ki shararat si

Wo jaise sardiyon mein garm kapde de faqiron ko
Labon pe muskurahat thi magar kaisi hiqarat si

Udasi patjhadon ky sham aude rasta takti
Pahadi par hazaron saal ki koi imarat si

Sajaye baazuon pe baaz wo maidan mein tanha tha
Chamakti thi ye basti dhoop mein taaraz-o-gharat si

Mero aankhon mere honton pe ye kaisi tamazat hay
Kabootar key paron ki reshmi uj Ii haraarat si

Khiia de phool mere baagh mein paighambaronjaisa
Raqam ho jis ki peshani pe ik aayat bashaarat si
 6.
Khuda ham ko aise khudai na de

Khuda ham ko aise khudai na de
Ki apne siva kuchh dikhai na de

Khatawaar samjhegi duniya tujhe
Ab itni ziyada safai na de

Hanso aaj itna ki is shor mein
Sada siskiyon ki sunai na de

Ghulami ko barkat samajhne lagen
Aseeron ko aisi rihai na de

Khuda aise ahsaas ka naam hay
Rahe samne aur dikhai na de
7.
 Ham bikhartey hain teeragi ki tarah

Ham bikhartey hain teeragi ki tarah
Dard badhta hai roshni ki tarah

Jab kabhi baadlon mein ghirta hai
Chaand lagta hai aadmi ki tarah

Sab nazar ka fareb hai warna
Koi hota nahin kisi ki tarah

Khubsoorat, udaas, Khaufzada
Wo bhi hai beeswin sadi ki tarah
8.
Udaas ankhon se ansu nahin nikalte hein

Udaas ankhon se ansu nahin nikalte hein
Ye motiyon ki tarah seepiyon mein palte hein

Ghane dhuen mein farishte bhi aankh malte hein
Tamam raat khajuron ke ped jalte hein

Main shahnshah nahin raste ka patthar hun
Yahan sawar bhi pedal utar ke chalte hein

Unhe kabhi na batana main unki aankhen hun
Wo log phool samajhkar mujhe masalte hein

Kai sitaron ko main jaanta hun bachpan se
Kahin bhi jaun mire saath saath chalte hein

Ye ik ped hai aa isse milke ro Iein ham
Yahan se tere mere raaste badalte hein
9.
 Nikal aaye idhar janaab kahan

Nikal aaye idhar janaab kahan
Raat key waqt aftaab kahan

Meri aankhen kisi key ansu hein
Varna in pattharon mein aab kahan

Sab khile he in kisi key ariz par
Is baras baagh mein gulab kahan

Mere honton pe teri khushboo hai
Chhoo sakegi inhen sharaab kahan
10.
 Mati ki kachchi gagar ko kya khona kya pana

Mati ki kachchi gagar ko kya khona kya pana, baba
Mati ko mati rahna hai mati mein mil jana, baba

Ham kya janen deewaaron se kaise dhoop utarti hogi
Raat rahe bahar jana hai raat gaye ghar aana, baba

lis lakdi ko andar andar deemak bilkul chaat chuki ho
Us ko oopar se chamkana raakh pe dhoop jamana, baba

Chhat ke ooper baadal barse, chhat key neche apni aankhen
Tan ki is geeli mitti ko ghul ghul key bah jana, baba

Pyar ki gahri phunkaron se sara badan aakash hua hai
Doodh pilana, tan daswana, hai dastoor purana, baba

In oonche shehron mein paidal sirf dehati he chalte hein
Ham ko baazaron se ek din kandhe par Ie jana, baba

Paani ke ham jhoote moti palkon par kaise ruk jayen
Naddi ko darya, darya ko sagar se mil jana, baba

Dhoop naye bel bottam pahne sadkon ki kashti par taire
Raakh ka kurta, dhool ki lungi, apna bhes purana baba
11.
 Roshni ke muqaddar mein neenden kahan

Roshni ke muqaddar mein neenden kahan chand mein taaq parwo sajaye kahin
Ham chiraghe wafajalna hai raat bhar aasmanta zamin wojalaye kahin

Do bhatakti hui ruhenjaise milin yun milin wo nigahen magar khaufhai
Zeest hai raatmeinjangalon ka safarisjanam meinbhi ham kho najayen kahin

Shohraten misle minaare azmat hamein asman ki tarafle chali hai magar
Jee mein hai sabz peghambaron ki tarah sena-e-sang se sar uthayen kahin

Barf si ujli poshak pahne hue, ped jaise duaon mein masroof hein
Wadiyanpaakmariyamka aanchalhuinaao sajdakarensarjhukayen kahin

Koi katba nahin hein sare raah hamjis pe aqwale zarreen badalte raho
Ham to aansu hein palkon pe rakh 10hamein jab ishara karo toot jayen kahin

An kahe sher hein wadiye zehen mein mukhtalif rang kejhilmilate diye
Daste alfaz mahfooz kar Ieunhen chal rahi hai hawa bujh najaye kahin
12.
 Aansuon key saath sab kuchh bah gaya

Aansuon key saath sab kuchh bah gaya
Dil mein sannata sa baqi rah gaya

Chhod aaya hun zameen-o-aasman
Fasila ab aur kitna rah gaya

Rafta rafta bujh gaye saare chiragh
Eik chehra jhilmilaata rah gaya

Bastiyan dhundla gayin phir kho gayin
Roshni ka shehr peechey rah gaya
13.
 Subah hoti hai chhupa lo hamko

Subah hoti hai chhupa lo hamko
Raat bhar chaahne walo hamko

Ham haqeeqat hain nazar aate hain
Daastanon mein chhupal lo hamko

Dil na paa jaye kahin shab ka raaz
Subh se pahle utha lo hamko

Ham zamane key sataaye hain bahut
Apne seene se lagaa lo hamko

Waqt key hont hamein chhu lenge
Ankahe bol hain gaa lo hamko

Kal khareedaron key pahre honge
Aaj ki raat chura lo hamko
14.
 Mohabbat se, inayat se, wafa se

Mohabbat se, inayat se, wafa se chot lagti hai
Bikharta phool hun mujhko hawa se chot lagti hai

Miri aankhon mein aansu ki tarah ek raat aajao
Takalluf se, banawat se, ada se chot lagti hai

Main shabnam ki zaban se phool ki aawaz sunta hun
Ajab ahsas hai apni sada se chot lagti hai

Tujhe khud apni majboori ka andaza nahin shayad
Na kar ahde wafa ahde wafa se chot lagti hai
15.
 Har baat mein mahke huye jazbaat ki khushboo

Har baat mein mahke huye jazbaat ki khushboo
Yaad aayi bahut pahli mulaqaat ki khushboo

Chhup chhup key nayi subah ka munh choom rahi hai
In reshmi zulfon mein basi raat ki khushboo

Mausam bhi haseenon ki adaa seekh gaye hein
Baadal hein chhupaye huye barsaat ki khushboo

Ghar kitne hi chhote hon ghane ped milenge
Shahron se alag hoti hai qasbaat ki khushboo

Honton par abhi phool ki patti ki mahak hai
Sanson mein rachi hai tiri soghaat ki khushboo
16.
 Parakhna mat parakhne mein koi apna nahin rahta

Parakhna mat parakhne mein koi apna nahin rahta
Kisi bhi aine mein der tak chehra nahin rahta

Bade logon se milne mein hamesha fasila rakhna
Jahan darya samandar se mila darya nahin rahta

Hazaron sher mere so gaye kaghaz ki qabron mein
Ajab maan hun koi bachcha mera zinda nahin rahta

Mohabbate ik khushboo hai hamesha saath chalti hai
Koi insaan tanhai mein bhi tanha nahin rahta

Tumhara shehr to bilkul naye andaz wala hai
Hamare shehr mein bhi koi hamsa nahin rahta
17.
Ab dilon key alaawa padhna kya

Ab dilon key alaawa padhna kya
Apna kaghaz qalarn se rishta kya

Aansuon se rniri hatheli par
Kaun padhta ke usne likkha kya

Ek rnahak jaise raat ki raani
Kya bataaoun ke usne socha kya

Jab bhi dekho usi taraf nazren
Chaand bhi hai kisi ka chehra kya

Turn rneri zindagi ho yeh sach hai
Zindagi ka rnagar bharosa kya
18.
 Musafir ke raste badalte rahe

Musafir ke raste badalte rahe
Muqaddar mein chalna tha chalte rahe

Mire raaston mein uj ala raha
Diye uski ankhon mein jalte rahe

Koi phool sa haath kandhe pe tha
Mire paon sholon pe chalte rahe

Suna hai unhen bhi hawa lag gayi
Hawaon ke jo rukh badalte rahe

Wo kya tha jise hamne thukra diya
Magar umr bhar haath malte rahe

Mohabbat, adavat, wafa, berukhi
Kiraye ke ghar they badalte rahe

Lipat kar chiraghon se wo so gaye
Jo phoolon pe karwat badalte rahe
19.
  Sabhi se in dinon rutha hua sa lagta hun

Sabhi se in dinon rutha hua sa lagta hun
Main apne aapko ab bewafa sa lagta hun

Tamaam raat main girti hui haweli mein
Dilon se nikli huyi baddua sa lagta hun

Meri hansi se udaasi key phool khilte hain
Main sab ke saath hun lekinjuda sa lagta hun

Main wo khazana hun haqdar jiski duniya hai
Hazaar hisson mein baanta hua sa lagta hun
20.
Wo mahakti palkon ki ot se koi taara chamka tha raat mein

Wo mahakti palkon ki ot se koi taara chamka tha raat mein
Miri band mutthi na kholiye wahi kohinoor hai haath mein

Main tamam tare utha utha key ghareeb logon mein bant dun
Kabhi eik raat wo aasman ka nizam den mire hath mein

Abhi shaam tak mire bagh mein kahin koi phool khila na tha
Mujhe khushbuon mein basa gaya tira pyar eik hi raat mein

Tire shath itne bahut se din to palak jhapakte guzar gaye
Hui shaam khel hi khel mein gayi raat baat hi baat mein

Koi ishq hai ke akela ret ki shaal odh ke chal diya
Kabhi baal bachchon ke saath aa ye padau lagta hai raat mein

Kabhi saatrangon ka phool hun kabhi dhoop hun kabhi dhool hun
Main tamaam kapde badal chuka tere mausamon ki baraat mein
21.
  Hai ajeeb shahr ki zindagi na safar raha na qayaam hai

Hai ajeeb shahr ki zindagi na safar raha na qayaam hai
Kahin karobar si dophar kahin badmizaj si shaam hai

Kahan ab duaon ki barkatein wo naseehatein wo hidayatein
Ye zaroraton ka khuloos hai ye mataalbon ka salaam hai

Yun hi roz milne ki aarzo badi rakh rakhao ki guftgu
Ye sharaafatein nahin be gharaz use aapse koi kaam hai

Wo dilom mein aag lagaayega mein dilon ki aag bujhaunga
Use apne kaam se kaam hai mujhe apne kaam se kaam hai

Na udaas ho na malaal kar kisi baat ka na khyal kar
kai saal baad mile hain ham tire naam aaj ki shaam hai

Koi naghmadhoop key gaon sa koi naghma shaamki chhaon sa
Zara in parindon se poochhna ye kalaam kis ka kalaam hai
22.
  Koi lashkar hai ke badhte huye gham aate hein

Koi lashkar hai ke badhte huye gham aate hein
Sham ke saye bahut tez qadam aate hein

Dil wo darwesh hai jo aankh uthata hi nahin
Is ke dawaze pe so ahle karam aate hein

Mujh se kya baat likhani hai ke ab mere liye
Kabhi sone kabhi chandi key qalam aate hein

Main ne do char kitabein to padhi he in lekin
Shehr key taur tariqe mujhe kam aate hein

Khubsoorat sa koi hadsa aankon mein liye
Ghar ki dehleez pe darte huye ham aate hein
23.
Patthar ke jigar walo gham mein wo rawani hai

Patthar ke jigar walo gham mein wo rawani hai
Khud raah bana lega bahta hua pani hai

Phoolon mein ghazal rakhna ye rat ki rani hai
Us mein teri zulfon ki be rabt kahani hai

Ek zehne pareshan mein wo phool sa chera hai
Patthar ki hifazat mein shishe ki jawani hai

Kyon chandni raaton mein darya pe nahate ho
Soye huye pani mein kya aag lagani hai

Is hoslaye dil par hamne bhi kafan pah.na
Hanskar koi puchhega kya jaan ganwani hai

Rone ka asar dil par rah rah ke badalta hai
Ansoo kabhi shisha hai ansu kabhi pani hai

Ye shabnami lehja hai ahista ghazal padhna
Titli ki kahani hai phoolon ki zabani hai
 

No comments:

Post a Comment

Jaun Elia Poetry Urdu

Shaayad Mujhe Kisi Se Mohabbat Nahi Howi Laikin Yaqeen Sab Ko Dilaata Raha Hun Mein Ik Husn-e-Bemisaal Ki Tamseel Ke Lye Parchaayion Pe R...