All Poets Poetry

This blog billing conaints poetry of all poets

Breaking

Friday, November 16, 2012

Farhat Shehzad

Farhat Shehzad
1.
Yun Toh Jaate Maine Usse Roka Bhi Nahi

yun toh jaate maine usse roka bhi nahi,
pyar uss_se na raha ho mera aisa bhi nahi

maang leta mohobat bhi main bhikari ban kar,
dard seene mein bohat tha magar itna bhi nahi

muntazir main na tha kisi shaam uska,
aur waade pe shaks woh kabhi aaya bhi nahi

ab uski bhi shehzad shikayat hai yehi,
pyar toh door maine usse chaha bhi nahi
2.
Ladhkhadaate Huye Kadmon Ko Sambhala Jaye

ladh_kha_daate hue kadmon ko sambhala jaye,
nasha-e-mai se anaa-jism nikaala jaye

dil hi toota hai koi qayamat toh nahi aa padhi,
iltawa mein na kisi kaam ko daala jaye

zindagi bhar ka safar saath katta hai iske,
laash ke pair se kaanta na nikaala jaye

na safar ho, na hamsafar ho, na safar ki manzil,
abke shehzad ko us raha pe dala jaye
3.
Ujale Iss Qadar Benoor Kyon Hain

ujale is qadar be_noor kyon hain,
kitabein zindagi se door kyon hain

kabhi yun ho pathar chaut khaye
hardam aaine hi chhor kyon hain

ik shakla hi to cheeni hai aankhon se
ye saare khwab chikna-choor kyon hain

(shakla-face, chehera)
4.
Yun Toh Tere Dushman Ke Tarafdar Bhi Hum The

Yun toh tere dushman ke tarafdar bhi hum thay
par hum hi jante hain tere yaar bhi hum thay

asaan thay itna ke tera pair tha dil par
duniya ke liye yun bade dushwar bhi hum thay

haqiqat yeh ek aur bhi hai jaanan ki,
teri nafrat bhi hum tera pyar bhi hum thay
5.
Kya Tuuta Hai Andar Andar

kya tuuta hai andar andar, kyuun chehara kumhalaaya hai
tanha tanha rone waalon, kaun tumhein yaad aaya hai

Kumhalaana: To Wither
Tanha: Alone, Solitary, Lonely


chupke chupke sulag rahe the, yaad mein unki diwaane
ik taare ne tuut ke yaaron, kya unko samjhaaya hai

Sulagna: To be kindled, be ignited,

rang birangi is mehfil mein, tum kyuun itane chup chup ho
bhuul bhi jaao paagal logon, kya khoya kya paaya hai

Mehfil: Assembly, Gathering
Khoyaa: Lost, Wasted


hai sher kahaan hai khuun hai dil ka, jo lafzon mein bikhara hai
dil ke zakhm dikha kar hamne, mehfil ko garmaaya hai

Sher: Poem
Lafz: Word, Saying, Term
Zakhm: Bruise, Cut, Damage, Hurt, Injury
Garmaana: Warm up, Heat up


ab ‘Shehzad’ ye jhuuth na bolo, wo itana bedard nahin
apni chaahat ko bhi parakho, gar ilzaam lagaaya hai

Shehzad: A reference to the poet, Farhat Shehzad
Jhuuth: Lie, Falsehood
Be-dard: Feelingless, Heartless
Chaahat: Affection
Parakh: Examination, Trial
Ilzaam: Allegation, Blame

No comments:

Post a Comment

Jaun Elia Poetry Urdu

Shaayad Mujhe Kisi Se Mohabbat Nahi Howi Laikin Yaqeen Sab Ko Dilaata Raha Hun Mein Ik Husn-e-Bemisaal Ki Tamseel Ke Lye Parchaayion Pe R...