All Poets Poetry

This blog billing conaints poetry of all poets

Breaking

Thursday, November 8, 2012

Amjad Islam Amjad

Amjad Islam Amjad
1.
Labon pe phuul khilte hain


labon pe phuul khilte hain kisi ke naam se pehle
dilon ke diip jalte hain chiraagh-e shaam se pehle

kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahiin paata
kahaani khatam hoti hai kabhi anjaam se pehle

yahi taare tumhaari aankh ki chilman mein rehte the
yahi suuraj nikalta tha tumhaare baam se pehle

diloN ki jagmagaati bastiyon pe raaj karte hain
yahi jo log lagte hain nihaayat aam se pehle

hui hai shaam jungle mein parinde lautte honge
ab in ko kis tarah roken navah-e-daam se pehle

ya saare rang murda the tumhaari shakl ban_ne tak
ya saare harf mohmal the tumhaare naam se pehle

hua hai voh agar munsif to Amjad ehtiyaatan ham
saza tasliim karte hain kisi ilzaam se pehle
2.
Aaj yun muskuraa ke aaye ho


Aaj yun muskuraa ke aaye ho
Jese sab kuch bhulaa ke aaye ho

Yeh nishani hai dil ke lagne ki
Yeh jo tum aaj jaa ke aaye ho

Bhool kar bhi jis tarah koi aaye
Sheher mein yu’n wafaa ke aaye ho

Kyon jhapakti nahin meri ankhain
Chandni main nahaa ke aaye ho

Dil samandar mein chaand sa utra
Kesi khushbu laga ke aaye ho

Subah ki avleen kiran ki tarah
Raat saari jagaa ke aye ho

Kya bahana bana ke jana hai
Kya bahana bana ke aaye ho

Koi jhonkey se kis tarah pooche
Kitni shamain bhujaa ke aaye ho

Aagaye ho to aao, Bismillah
Der lekin lagaa ke aaye ho

Be’kali is qadar kyon Amjad
Kya kahin kuch ganwaa ke aaye ho
3.
Koii Mausam Ho


Koi Mausam Ho, Dil Mein Hai Tumhaari Yaad Ka Mausam
Ke Badla Hee Nahee Jaanan Tumharay Baad Ka Mausam

Nahee Tou Aazma Ke Dekh Lo, Kaisay Badalta Hai ?
Tumhaaray Muskaraanay Se Dil-e-Nashaad Ka Mausam

Kaheen Se Os Haseen Awaaz Ki Khusbuu Pukaaray Gi
Tou Is Ke Saath Badlay Ga Dil-e-Barbaad Ka Mausam

Qafas Ke Baam-o-Dar Mein Roshni Si Aayi Jaati Hai
Chaman Mein Aagaya Shayad Lab-e-Aazaad Ka Mausam

Mere Sheher-e-Pareshaan Mein Teri Be-Chaand Raaton Mein
Bohat Hee Yaad Karta Hun Teri Bunyaad Ka Mausam

Na Koi Gham Khizaan Ka Hai, Na Khwaahish Hai Bahaaron Ki
Hamaaray Saath Hai “Amjad” Kisi Ki Yaad Ka Mausam
4.
Jab bhi ik shaam yaad aati hai


Jab bhi ik shaam yaad aati hai
Jese duniya theher si jati hai

Ik taraf dil hain, Ik taraf duniya
Aur yeh scene kayenaati hai

Yu’n bhi hota hai sher, baaz aukat
Jese bijli si koond jati hai

Maut se ham’kalaam hone ke
Zindagi raste dikhati hai

Haar hoti hai aarzi, us ko
Be-dili mustakil banati hai

Haadsey aik pal nahin rukte
Zindagi hai ke chalti jati hai

Us ke dam se hain ronaq’en sari
Yeh jo dunya ki be-sabaati hai

Baat koi samajh nahin aati
Baat itni samajh mein aati hai
5.
Kya kya hamare khawaab they

Kya kya hamare khawaab they, jane kahan pe kho gaye
Tum bhi kisi ke sath ho, Hum bhi kisi ke ho gaye

Jane woh kyon they, Kaun they? aaye they kis liye yahan
Woh jo fashaar-e-waqt mein, Bojh sa aik ddho gaye

Us ki nazar ne yoon kiya gard-e-malal-e-jaan ko saaf
Abar baras ke jis tarah, Saarey chaman ko dho gaye

Katne se aur barhti hai uthey huye sarun ki fassal
Apne lahu se ahl-e-dil, Beej yeh kese bo gaye

Jin ke bagher ik pal, Jeena bhi muhaal tha
Shaklain bhi un ki bujh gayin, Naam bi un ke kho gaye

Ankhon mein bhar ke rut jage, Raston ko de ke duriyan
Amjad woh apne hamsafar, Kese mazey se so gaye
6.
Hum nahin kehte


Hum nahin kehte hamari, teri dunya ho jaye
Itne rangon mein koi rang to apna ho jaye

Ishq woh “turfa-balaa” hai ke kare jis ki talb,
Us ko maloom na ho, Sheher mein charcha ho jaye

Do sitaron ko jo dekhoon teri ankhen ban jayen
Chand ko dheyan mein laaon tera chehra ho jaye

Har dora hai yeh nigehbaan khari hai kismat
Kese mumkin hai ke har shasks ka socha, ho jaye

Hum ko har bazm mein, Har haal mein sach kehna hai
Sheher ka sheher khafaa hota hai, Acha ho jaye

Ishq woh kaar-e-musalsal hai nahin jis ki akheer
Us ki taufiq hai jis shakhs se jitna ho jaye

Husn ki ankh woh tahsees talb hai amjad
Bheerr ho charon taraf aur koi tanha ho jaye
7.
Chalegi yeh pareshaani kahan tak


Chalegii yeh pareshaani kahan tak
Bata aye ghar ki veerani kahan tak

Bohat lambi thi ab ke, khushk’saali
Barastaa ankh se paani kahan tak

Tere tootey huye gajron ke hote
Mehekti raat ki raani kahan tak

Rukey gi kab talak saanson mein khushbu
Urrey ga rang yeh dhaani kahan tak

Khilona hai isey to tootna hai
Karain dil ki nigehbaani kahan tak

Usey baadal bulate hain hamesha
Samandar main rahe paani kahan tak
Meaning:
 khushk’saali = lack of water, nigehbaani = look after
 8.
Hasti ka aitbaar kiye bagair


Hasti ka aitbaar kiye bagair reh na jaye
Dunya hai yahan per jiye bin raha na jaye

Kat’ti nahin yeh zindagi umeed ke bagher
Yeh jaam woh hai jis ko piye bin raha na jaye

Chahat ka zakhm dil ko tamasha na bana de
Aesa hai chaak jis ko siye bin rahaa na jaye

Dunya ke is afshaar mein hai us ki yaad yoon
Aandhi ho tez aur diye bin raha na jaye

Ik simt tera hukam hai, ik simt kayenaat
Yeh bojh apne sir pe liye bin raha na jaye
9.
Dil ke dariya ko kisi roz


Dil ke dariya ko kisi roz utar jana hai
Itna besimt na chal laut ke ghar jana hai

Us tak ati hai to har chiz thahar jati hai
Jaise pana hi use asl main mar jana hai

Bol ai sham-e-safar rang-e-rihai kya hai
Dil ko rukana hai k taron main thahar jana hai

Kaun ubharate hue mahatab ka rasta roke
Us ko har taur su-e-dasht-e-sahar jana hai

Main khila hun to isi khak main milna hai mujhe
Vo to khushbu hai use agle nagar jana hai

Vo tere husn ka jadu ho k mera gam-e-dil
Har musafir ko isi ghat utar jana hai

Meaning:
Besimt=No Direction, Mahatab=Moon, Ubharte=Rising, Ghat Utar=Go Through
10.
 Guzre hain tere baad bhi

guzre hain tere baad bhi kuchh log idhar se
lekin tirri khushboo na gayi raahguzar se

kyun duubti bhujti hui aankhon mein hai raushan
raatoN ko shikaayat hai to itni hai sahar se

larza tha badan us ka mire haath se chhuu kar
dekha tha mujhe us ne ajab mast nazar se

kya thaan ke nikla tha kahaan aa ke paRa hai
puuchhe to koi is dil-e-sharminda safar se

aaya hai bahut der meN voh shakhs par us ko
jazbaat ki is bhiiR meN  dekhuun maiN kidhar se

ham rizq-e-guzargaah to Khashaak the lekin
voh log jo nikle the hava dekh ke ghar se

aisa to nahiiN, meri tarah sarv-e-lab-e-juu
qadamon pe khaRaa ho kisi uftaad ke Dar se

din the k hamen shahr-e-badan tak ki Khabar thi
aur ab nahiiN aaghah tere khair Khabar se

Amjad na qadam rok k voh duur ki manzil
nikle gi kisi roz isii gard-e-safar se

No comments:

Post a Comment

Jaun Elia Poetry Urdu

Shaayad Mujhe Kisi Se Mohabbat Nahi Howi Laikin Yaqeen Sab Ko Dilaata Raha Hun Mein Ik Husn-e-Bemisaal Ki Tamseel Ke Lye Parchaayion Pe R...