All Poets Poetry

This blog billing conaints poetry of all poets

Breaking

Thursday, November 8, 2012

Safi Lakhnavi, Safi Lacknowi

Safi Lucknowi 
Safi Lakhnavi
1862–1950
Syed Ali Naqi Zaidi as Safi Lakhnavi was born in Lucknow on January 2 1862 in a family of Zaidi Syeds who claimed direct descent from Hazrat Imam Husain.He was a prominent poet of Lucknow school, Safi’s abovementioned ghazal has been very popular. His masnavi Tanzimul Hayat was also an acclaimed work. He died in 1950.
1.
 Ghazal usne chheRi

Ghazal usne chheRi mujhe saaz dena
zara umar-e-rafta ko aavaaz denaa

qafas le uRuuN maiN hawa ab jo sanake
madad itnii ai baal-e-parvaaz denaa

na Khamosh rahna mere ham-safiiro
jab aavaaz duun tum bhi aawaaz denaa

koii siikh le dil kii be-taabi’oN ko
har anjaam meN raqs-e-aaghaaz denaa

daliil garaaN barii-e-sang-e-gham se
Safi tuut kar dil ka aavaaz dena
2.
 
Dard-e-aaghaz-e-mohabbat

Dard-e-aaghaz-e-mohabbat ka ab anjaam nahi
Zindagi kya hai agar maut ka paigham nahi

Kijiye ghaur to har lazzat-e-duniya hai qareeb
Kaun dana hai yahan par jo tayy-e-daam nahi

Har tanazaal ke zamaane ne taraqqi hai
Kufr voh kufr nahi ab islam voh islam nahi

Kaun azaad nahi halqe bagoshon mein tere
Naqsh kis dile ke nageene par tera naam nahi

Nar sheedah hai tera mivah e jannat zahid
Pukhta munazon ko talaash-e-samrkhaam nahi

Yehi jannat hai jo haasil ho sukoon-e-nazar
Aur dozakh yehi duniya agar aaraam nahi

Shergoi ke liye bas vahi mauzun hai ‘Safi’
Jis ko juz fikr-e-sukhan aur koi kaam nahi
 
3. 
Ham apnaa haal kuchh iss tarah 

Ham apnaa haal kuch iss tarah maayusana kehte hai
Ke voh tak sun ke rote hai jinhen begaana kehte hai

Urooj-e-hurmat-e-mae ab koi dekhe ke vaiz tak
Sar-e-mimbar haadis-e-sheesha-o-paimana kehte hai

Naqsh-e-kufr-o-imaan safeh-ehasti ko yeksa hai
Yehi masjib kabhi thi ab jise butkhaana kehte hai

Hamari bhi jawaani thi kabhi ham bhi the rindon mein
Budhape mein dil-e-murdah ka ab afasana kehte hai

‘Safi’ rindon ko is ka band ho jana qayamat hai
Dar-e-tauba hai voh jisko dar-e-maikhana kehte hai
4. 
Husn ruva ho dil uss

Husn ruva ho dil uss baat pe razi na hua
Ek nazar dekh liya usko joi koi na hua

Naqshband-e-dil-khoon gashta hai har qatrah ashk
Lafz hi kya jo soorat gar-e-maani na hua

Mar gaya in ko pasheman-e-taghaful sun kar
Shukr sharmindah-e-ahsan talaafi na hua

Ham to baithe the kisi teer-e-nazar ki zad par
Yeh qasur-e-nazar andazah jo kafi na hua

Sakht jaani! Mujhe phir tujh se shikayat hogi
Na huye joon sab armaan to kuch bhi na hua

Charkh zan hai mere har reshe-o-har rag mein ‘Safi’
Vahi shola ke sar-e-e-Toor jo bijli na hua
5.

Too bhi mayuse tamana mire andaz mein hai
jab hi to yeh dard papihay teri awaz mein hai
6.

Janaza rok kar mera voh is andaaz mein bole
gali ham ne kahi thi, tum to duniya chhore jaate ho


No comments:

Post a Comment

Jaun Elia Poetry Urdu

Shaayad Mujhe Kisi Se Mohabbat Nahi Howi Laikin Yaqeen Sab Ko Dilaata Raha Hun Mein Ik Husn-e-Bemisaal Ki Tamseel Ke Lye Parchaayion Pe R...