All Poets Poetry

This blog billing conaints poetry of all poets

Breaking

Thursday, November 8, 2012

Syed Zameer Jafri, Zamir Jafri

 Zamir Jafri
January 1, 1916 – May 12, 1999
1.
Jo insaan noye insaani ka
 Jo insaaN noye insaani ka istehsaal kerte hain
Nihaayet reshmee alfaaz istemaal kerte hain

Kabhi hum saal mai ik "Majlis-e-Iqbal" kerte hain
Phir iske baad jo kerte hain wo qawwal kerte hain 
2.
 Dard mai lazzat bahut
  Dard mai lazzat bahut, ashkon mai ranaai bahut
Ai gham-e-hasti hame duniya pasand aayee bahut

Ho na ho dasht-o-chaman mai ik ta'alluq hai zaroor
Baad-e-saahrai bhi khushbooyen utha layee bahut

Maslahat ka jabr aisa tha ke chup rehna pada
Warna usloob-e-zamaney pe hansi aayee bahut

Besahaaron ki muhabbat benawaon ka khuloos
Aah yeh daulat ke insano ne thukraai bahut

Bekhayali mai bhi kitney faasley tai ho gaye
Beiraada bhi yeh dunia door le aayee bahut

Apni fitrat mai bhi roshan honge lekin ai Zameer
Meri raaton se bhi taron ne chamak payee bahut
3.
 Gareeb khaana hamesha se
  Gareeb khaana hamesha se jail khana hai
Mera mizaj ladakpan se leadraana hai

Ilahi khair dil-e-zar natawan ki khair
Ke aaj unka har andaz hitlarana hai

Tum aaj kiun yeh governor se ban ke baithe ho
Kaho kaho meri jan kis ko aazmaana hai

Dilon ka farsh bichha hai jidhar nigaah karo
Tumhara ghar bhi dilon ka kabaadhkhana hai

Na dekh aah mujhe ai nigaahe yaar na dekh
Ke aaj tera har andaz jaarihaana hai

Mujhe Zameer Khuda ke karam se kia na mila
Mizaj garm tabiyet bhi shayerana hai

No comments:

Post a Comment

Jaun Elia Poetry Urdu

Shaayad Mujhe Kisi Se Mohabbat Nahi Howi Laikin Yaqeen Sab Ko Dilaata Raha Hun Mein Ik Husn-e-Bemisaal Ki Tamseel Ke Lye Parchaayion Pe R...