Haider Ali Aatish
1778–1848
Khwaja Haider Ali Aatish (1778–1848) (Urdu: خواجہ حیدر علی آتش ) of Lucknow was an Urdu poet.
1.
Dost ho jab dushman-e-jaan
Dost ho jab dushman-e-jaan tou kyaa maluum ho
Aadmi ko kis tarah aani kazaa maluum ho
Ashikon se puuchhiye khuubii lab-e-jaan bakhsh ki
Jauhari ko kadr-e-laal-e-bebhaa maluum ho
Daam mein laayaa hai 'Aatish' sabjaa-e-khat-e-butan
sach hai kyaa insaa ko kismat ka likhaa maluum ho

2.
Ye Aarazuu Thii Tujhe Gul Ke Ruu-Ba-Ruu Karate
ye aarazuu thii tujhe gul ke ruu-ba-ruu karate
ham aur bul bul-e-betaab guftaguu karte
payaam bar na mayassar huaa to Khuub huaa
zabaan-e-Gair se kyaa shar kii aarazuu karate
merii tarah se maah-o-mahar bhii hain avara
kisii habiib ko ye bhii hain justajuu karate
jo dekhate terii zanjeer-e-zulf kaa aalam
asiir hone ke aazaad aarazuu karate
na puuchh aalam-e-baragashtaa taali-e-'Aatish'
barasatii aag main jo baaraaN kii aarazuu karate

3.
Tarapate Hain Na Rote Hain Na
tarapate hain na rote hain na ham fariyaad karate hain
sanam kii yaad main har dam Khudaa ko yaad karate hain
unhiin ke ishq main ham naalaa-o-fariyaad karate hain
ilaahii dekhiye kis din hamain vo yaad karate hain
shab-e-furqat main kyaa kyaa saanp laharaate hain siine par
tumhaarii kaakul-e-pechaan ko jab ham yaad karate hain

4.
Sun To Sahii Jahaan Main
sun to sahii jahaan main hai teraa fasaanaa kyaa
kahti hai tujh se Khalq-e-Khudaa Gaibanaa kya
zina saba kaa Dhundati hai apni musht-e-Khaak
baam-e-baland yaar ka hai astana kya
ati hai kis tarah se meri kabz-e-ruuh ko
dekhun to maut dhund rahe hai bahana kya
betab hai kamal hamara dil-e-aziim
mahmaan saray-e-jism ka hoga ravana kya
5.
Yaar ne mujhe maine yaar ko
Yaar ne mujhe maine yaar ko sone na diyaa
Raat bhar taali'-e-bedaar ne sone na diyaa
Ek shab bulbul-e-betaab ke jaage na naseeb
pahluu-e-gul mein bhi kabhi khaar ne sone na diyaa
Raat bhar kii dil-e-betaab ne baaten mujhse
Mujh ko iss ishq ke biimaar ne sone na diyaa

No comments:
Post a Comment