All Poets Poetry

This blog billing conaints poetry of all poets

Breaking

Friday, November 9, 2012

Mohsin Bhopali

Mohsin Bhopali
 1932 - 2007
1.
Kyaa zaruuri hai


Kyaa zaruuri hai ab yeh bataana meraa
TuuTtii shaaKh par thaa Thikaana meraa

Gham nahiiN ab milii haiN jo tanhaiiyaaN
anjuman anjuman thaa fasaana meraa

ek zamaanaa kabhii thaa ham-navaa meraa
tumne dekhaa kahaaN voh zamaana meraa

be-zamiini ka miltaa hai taa'na mujhe
jurm Thehraa hai bastii basaanaa meraa

arz-e-Bhopal se thaa taa'lluq thaa kabhi
ab to sab kuchh hai Larkaana meraa

nairangii-e-siaasat-e-dauraaN to dekhiye
manzil unheN milii jo shariik-e-safar na the
2.
Phir daman-e-umeewoh phuulon say bhar gayaa

phir daman-e-umeewoh phuulon say bhar gayaa
jadu bhari nigah sy jadu sa ker gayaa

bus dekhty he dekhty dunya he badal ga_ii
kuch sochty he sochty chehra he uter gayaa

betaab, be.qaraar tha pehly he dil bohat
pher aap ka aana or bhi be.taab ker gayaa

ik be,khuddi ka naam mohabbat hy doston
chahat mai kis ko hosh hy kiya kiya guzer gayaa

kuch bhi pata nhi hy mohabbat mai aa "mohsin"
kub raat subha ban gai kub din guzer gayaa

No comments:

Post a Comment

Jaun Elia Poetry Urdu

Shaayad Mujhe Kisi Se Mohabbat Nahi Howi Laikin Yaqeen Sab Ko Dilaata Raha Hun Mein Ik Husn-e-Bemisaal Ki Tamseel Ke Lye Parchaayion Pe R...